Thursday, September 9, 2010
Tuesday, July 13, 2010
Kuch to
kuch to havaa bhi sard thi kuch tha tera khayaal bhi
dil ko khushii ke saath saath hotaa rahaa malaal bhi
[sard=cold; malaal=sorrow]
baat vo aadhi raat ki raat vo puure chaand ki
chaand bhi ain chet kaa us pe tera jamaal bhi
[chet=name of a month; jamaal=beauty]
sab se nazar bacha ke vo mujh ko aise dekhate
ek dafa to ruk gaii gardish-e-maah-o-saal bhi
dil to chamak sakegaa kyaa phir bhi taraash ke dekh lo
shiishaagaraan-e-shahar ke haath kaa ye kamaal bhi
[taraash=chisel/polish (stone); shiishaagar=glazier/one works with glass]
us ko na paa sake the jab dil kaa ajiib haal thaa
ab jo palat ke dekhiye baat thi kuch muhaal bhi
[muhaal=difficult/impossible]
meri talab thaa ek shakhs vo jo nahin milaa to phir
haath duaa se yuun giraa bhuul gayaa savaal bhii
[talab=quest/want; shaKhs=person]
shaam ki naasamajh havaa puuch rahi hai ik pataa
mauj-e-havaa-e-kuu-e-yaar kuch to meraa khayaal bhi
[naasamajh=naive]
us ke hi baazuuo.n mein aur us ko hi sochate rahe
jism ki khvaahisho.n pe the ruuh ke aur jaal bhi

Monday, April 26, 2010
Hum He Mein Thee
Hum he mein thee na koi baat, yaad na tum ko aa sakay
Tum ne hamain bhula diya, hum na tumhein bhula sakay
Tum he na sun sakay agar qissa-e-gham sunay ga kaun
Kis ki zubaa.n khulay gee phir hum na agar suna sakay
Hosh mein aa chukay thay hum, josh mein aa chukay thay hum
Bazm ka rang dekh kar sar na magar utha sakay
Shauq-e-visaal hai yahaan lab pe savaal hai yahaan
Kis ki majaal hai yahaan hum se nazar mila sakay
Raunaq-e-bazm ban gaye lab pe hikayatain raheen
Lab pe shikayatain raheen lab na magar hila sakay
Aisa bhi koi nama-barr her baat pe kaan dhar sakay
Sun ker yaqeen kar sakay jaa ke unhain suna sakay
Ahl-e-zabaa.n to hain bohot, koi nahin hai ahl-e-dard
Kaun teri tarah Hafeez, dard ke geet ga sakay
Subscribe to:
Posts (Atom)