Tum ne hamain bhula diya, hum na tumhein bhula sakay
Tum he na sun sakay agar qissa-e-gham sunay ga kaun
Kis ki zubaa.n khulay gee phir hum na agar suna sakay
Hosh mein aa chukay thay hum, josh mein aa chukay thay hum
Bazm ka rang dekh kar sar na magar utha sakay
Shauq-e-visaal hai yahaan lab pe savaal hai yahaan
Kis ki majaal hai yahaan hum se nazar mila sakay
Raunaq-e-bazm ban gaye lab pe hikayatain raheen
Lab pe shikayatain raheen lab na magar hila sakay
Aisa bhi koi nama-barr her baat pe kaan dhar sakay
Sun ker yaqeen kar sakay jaa ke unhain suna sakay
Ahl-e-zabaa.n to hain bohot, koi nahin hai ahl-e-dard
Kaun teri tarah Hafeez, dard ke geet ga sakay
