Wednesday, February 23, 2011

Meri Gali

Meri gali se wo jab bhi guzarti hogi
Mod pe jaake kuch der theharti hogi

Bhool jaana mujhko itna aasaan to na hoga
Dil main kuch toot ke to bikharta hoga

Saath dekhe the Jo un khwabon ka kaarwaa
Ghubaar bankar uski aankhon me ubharta hoga

Koi jab choomta hoga use baanho me lekar
Mera pyar badan me uske sehrata hoga

Uski zulfon ko meri ungliyan dulaarti hongi
Saamne aaine ke wo jab bhi sanwarti hogi

Dard jab bhi deta hoga ye sangdil zamaana
Wo bewafa mujh ko yaad to karti hogi.

Unknown