Thursday, August 14, 2008

Bedard

Hum vo bedard hain

Khaab ganva kar bhi jinhain neend aa jaati hai
Soch soch kar bhi jin ke zehnon ko kuch nahin hota
Toot phoot kar bhi jin ke dil dharakna yaad rakhtay hain

Hum vo bedard hain

Keh jin ke aansu aankhon ka rasta bhool jaatay hain
Toot kar ronay ki koshish main jo baat be-baat muskuraatay hain
Shaam se pehlay marr jaanay ki khaahish main jo

Jeetay hain aur....Jeetay he chalay jaatay hain

No comments: